Apnay hi laga rahay hai apnow ko zarb
Maana ki mein raha nakaam nibhanay mein apna farz
Nahi ban saka waisa ki sab ko mujh par ho fakr
Baabow-aj-daad ki asmat kar di meinay khaak mein garkh
Mujeh hai bada azeeb zahni marz
Yaad nahi rahtay mujeh chehray aur fard
Bhool jaata hu alfaaz aur harf
Chukana hai mujeh abhi apni maati ka karz
Hai mayri soch mukhtalif -- taur-tareekhay bahut khilaaf-e-jadeed tarz
Dekhtay hai log mujeh tukar tukar -- ek-taki lagakar -- unki aakhay hoti hai badi sard
Mayray pao ladh-khada-kar jam jaatay hai apni jagah par jaisay barf
Es karowdow ki bheedh mein ek majnoon say kya padhta hai kisi ko koi farkh
Karti ho tum husn-e-sulook mujh say -- hai nahi tumhara koi takhaza -- na hi hai koi shart
Ban nahi saka momin -- khaof-e-Khuda say jaata hu laraz
Hai nasha kisi ko afeem ka -- koi peeta hai charas
Mein tow bas badi badi kitabay aur baday baday aleemow ko dekh kar jaata hu taras
Bajata hai madari damru -- peet-tay tamasha-been thali -- hastay hai bahut dekh sab naye naye kartab -- budhay langday bandar ki takleef say kya padhta hai kisi ko koi harj

No comments:
Post a Comment