Hui un say mulaqaat -- muddatow baad -- hotay hai sach khwaab -- zami par bhi aata hai aftaab -- bas ho dil mein sulaghtay jazbaat -- sar par ho junoon sawaar -- pairow mein jaltay angarow pay chalnay ki taab -- woh mohabbat nahi jis mein aakhow say na tapkay lahu -- por por na uglay dhua -- woh mehbooba hi kya jisay dekh sitaray na karnay lagay raks -- chand ki aakhow say bahnay lagay bar-bas ashkh -- saiyyrow ki gardish bhi jaye tham -- sunayhri heernow kay ruk ruk kay uthay kadam -- buth mein padh jaye jaan -- bol uthay payd-powdhay bhi hamari zabaan -- shamsheeray aa jaye mayn say bahar agar uski aakhay ho zara si bhi nam -- yalgaar ho jaye agar uski peshaani par aye halki si silwat ya kham -- pathar bhi ho jaye ba-zameer aur ba-shaoor -- aapas mein kus-pu-sa-hat karnay lagay ki dekhi nahi sadiyow mein aisi hoor -- kab ki Khuda nay yeh pari ki takhleekh -- ab yakee-nan hai Qayamat kareeb -- uski halki si jhalak par maz-zoob bhi ho jaye sayhat-mand -- chow-kannay rah jaye Luqmaan jaisay hakeem aur daanish-mand --
Hota nahi kisi ko yaki -- bhala etna khoobsurat bhi koi hota hai kahi -- ayinay ko aa gaya gash -- farishtyow nay uthaye sawaal -- ya rab yeh tow hai bay-misaal -- eska mehboob hoga kaun -- kis mein hai etni majaal -- kis mein hai etna jamaal --yeh ho jaye jis kisi ki na aaye usay kabhi jawaal --
Shayer na likh paye us par ghazal -- bhool gaye apni madri-zaba -- hurow nay tauba ki karnay say guroor -- kaatib nay phaykh diye apnay warkh -- siyahi aur kalam -- musawir rah gaye hakkay-bakkay aur dang -- sang-taraash nay kalam karwa liye apnay haath -- yahudi lay aye emaan -- iblees na rah saka zyada dayr tak kaafir -- tark kar diya usnay apna takabbur -- shadeed pashayman hua aur khushi khushi hua sajday kay liye razamand --
Qous-O-Qazah kay padh gaye rang madh-dham -- chand numudaar hua amawas ki bhi shab -- ruh-posh na rah saka zyada waqt --
Shabnam row padi zaar-zaar bay-ekh-tiyaar -- us mein kaha tum jaisi pakeezagi
Seepiyo mein motiyow nay rok liya apna dam -- gad gaye maaray sharam -- li kasm ki ab kabhi nahi damkaygay ham --
Mayray junoon ki misaal ab kaha say laogi tum -- tareekh kay pannow mein tow aisa milayga hi nahi -- mustakhbil mein bhi na hoga mujh sa koi -- kahta hai yeh sab nujumiyow ka nujoom -- sar par tow har sadi mein har majnu nay baadha kafan -- meinay tow fana kar di apni ruh -- apna zarra zarra -- apni hasti -- apni ana.

No comments:
Post a Comment