Sunday, July 28, 2013

Vaani...

Suni thi unki awaaz bas yu hi ettay-faakhan ek shab
Jab say talaashta rahta hu unhay jaisay ek dervish rahta hai dhoondh Nafs-e-Mutmainna har waqt

Sehra mein saraab jaisi nazar-bandh kartay hai unkay shabdh
Dayti hai unki vaani indradhanush ko naye rang aur shank ko kanth

Milta nahi unka pata nahi tow arsal karta unhay ek taweel khat
Rawana karta qasid ko un kay bayt dauda kay gowdhay par sarpat

Karti hai baatay woh far-raatay-daar aur pat-pat
Jaisay tayz baarish ki boonday girti hai mayray chath par jhat-pat

Kaisay hoga unka mizaazh -- kya karti hogi bahut zidd aur hat
Ya maan jaati hogi takal-luf mein har baat fata-fat

Milta nahi unka koi chitr -- kya khichati nahi woh koi tasveer -- sochta hu kitna hoga unka kadh
Kah duga aaj un say apnay dil ki baat -- Kar liya aaj Prahlad jaisa dridh sankalp -- kar duga aaj apnay andar kay kayarta kay raakshas ka wadh -- mukarrar nahi aaj adab ahtayraam ki koi hadd

Nao Nidhi-yow mein kaun kaun say hogay unkay gunn -- yahi lagi rahti hai mujeh aaj-kal rat
Batoow say tow lagti hai woh raham-dil -- karti nahi woh kisi ki hatak

Kya unhonay kabhi kisi ki kati hui patang chori say kar li lapak
Kya usi baat ko soch kar jhayph jaati hai ab-bhi aur aaj-tak

Kya darti hai karnay paar afrah-tafrah sadak
Kya kabhi kisi nabeena ko labay-sadak dekh bheeg jaati hai unki palak

Lagta hai jaisay ki woh rahti thi kisi Swarn Nagari mein door falak
Pariyow nay ki saazish -- aur kaat diye unkay par -- Qous-O-Qazah kay doltay jhulay say utar kar aa gayi woh hamaray beech palakh-jhapak

Mayray tasaw-wur mein unki aakhay hai aisi -- jaisay jugnu lay-rahay ho andhkaar say ladhnay ki shapath
Unki awaaz sun kar phir lagta nahi jeevan ek abhishaap -- ek karawaas -- ek van-vaas -- ek agnipath.

No comments: