Tuesday, July 30, 2013

Vidhi

Kya yeh vidhi hai
Hui ek sadi hai

Yeh kaisi gumshudgi hai
Bay-sabab ghair haazari hai

Mehfil mein tareeki hai
Kyu ki sadarat kisi ajnabi ki hai

Kis ka fareb hai
Kis ki shararat hai

Mujeh bahut hairat hai
Shayad buri mayri seerat hai

Rahbar koi nahi
Rah-zan hazarow hai

Hathayliyow pay angaaray hai
Nahi bajtay ab naubat -- nakhaaray hai

Kaisi yeh surat-e-haal hai
Mustakhbil muhaal hai

Mayray mann mein bas ek sawaal hai
Kya ab zawaal hi zawaal hai

Kis taraf hai junoob -- kis taraf shumaal hai
Mujeh kuch nahi pata -- bas ab unka hi khayaal hai

Woh meh-jabi kaha hai
Jin kay shamiyaanay taaray hai

Aksariyat mein dushman hai
Thoday say thay dost  -- woh bhi ab paraye hai

Nanhi ladkiye pahnay ghararay aur shararay hai
Kya hai kisi ka biyaah -- kyu hastay faw-waaray hai

Maana duniya tow bas ek saraye hai
Phir bhi kyu ham ek dusray say aankh churay hai

Bas naam pata hai unka -- aur kuch ilm nahi hai
Koi kara day tar-ruff -- gy-ba-na bhi sahi hai

Koi et-tay-la nahi hai
Na hi koi khat-o-kitabat ka silsila hai

Mujeh pahlay say hi shuba hai
Qasid kabootar bhi unki es saazish mein mubtayla hai

Mayri parchai ko bhi ab mujh say tas-sub ho gaya hai
Takh-khoob nahi karna mujeh tumhara ab -- kahti hai

Jugnu bhi war-ga-la-raha gaye hai
Mujeh andhayrow kay hawalay kar rahay hai

Parindow ko bhi jaisay mujh say ranjish hai -- shikwa-gila hai
Nahi tow paristan mein unka khula da-khay-la hai

Uran khatola par unhay ek din aana tow hai
Sulah mayri sab say karwaana tow hai

Mayray paas koi shahi parwana tow nahi hai
Lekin mayray alfaaz buntay afsaana tow hai

Tasleem karta hu ki andaaz mayra mukh-talif hai -- mashkook hai
Par tabiyat kuch kuch derveshana -- shayerana tow hai

Shikwa nahi taqdeer say koi -- maazi say bhi gila nahi hai
Pashaymaani bas es baat ki hai ki kirdaar mayra shuru say hi sahi nahi hai

Naw bhi hai -- patwaar bhi hai -- lahray bhi garm-joshi say saath day rahi hai -- kinara bhi ab door nahi hai
Afsoos tow es baat ka hai ki ab baazu nahi rahay khavi aur haath laraz rahay hai

Unki tasveer nahi mili -- khayali banata hu chavi -- yeh mayra mashghayla hai
Qous-O-Qazah say poochta hu unkay rang -- kya yahi junoon ki eb-tay-da hai

Vani mein unki halka halka jal tarang sa shor hai
Awaaz hi ki dowr say juday hua ham hai

Yahi vidhi ka Nidhi ko vardaan hai
Shankh mown hai unkay sam-maan mein ab nahi usko apnay aap par abhi-maan hai.

No comments: