Saturday, July 13, 2013

Jab karnay lagi mayri parchai bhi mujh par vyang

Jab karnay lagi mayri parchai (Shadow) bhi mujh par vyang (Sarcasm)
Tumeh dekh liya ek baar ji bhar-kar
Ab mein kya karuga sow sow aabay-hayaat (Elixir of life) kay paaylaye lay kar
Uthao teer-andaazow (Archers) uthao apni kamaan (Bow) aur teer-kash (Quiver)
Aaj hu mein bahut sarkash (Unruly)
Bay-jhijhak kar dow mayra seena chan-ni (Riddle = pierce or perforate with numerous holes)
Mil gayi mujeh mokhsha (freedom from the endless cycle of transmigration into a state of bliss)
Ab es shareer (Body) mein kuch nahi rakha
Jeevan (Life) yu guzra jaisay ek kadi parikhsha (Exam)
Har path (Path) par mili nirasha (Hopelessness)
Karnay lagi mayri parchai (Shadow) bhi mujh par vyang (Sarcasm)
Jeevan (Life) aarambh (Beginning) say hi nahi raha saral (Easy) -- hota gaya bada kathin (Difficult)
Yeh kaisa jeevan (Life) hai -- yeh tow hai ek abhi-shaap (Curse)
Kis nay diya hai mujeh yeh shap (Curse)
Hogi kab mukti (Salvation / Redemption) -- jab duga mein yeh dahs (Body) tyag (Renounce)
Ab tow taarow nay bhi bandh kar di mujh say karni vaarta-laap (Conversation)
Aur kitnay yugow (Centuries) tak karna padayga mujeh pashchataap (Penance)
Koi mitr (Friend) nahi -- karta nahi koi mujh say baat
Aata nahi kisi ka durabhash (Telephone) -- likhta nahi mujeh koi patr (Letter) -- hai na yeh bahut vichitr (Bizarre) -- kya etna hu mein charitrahin (characterless)-- sahanashilata (Patience) ki bhi ek seema (Limit / Threshold) hoti hai -- Daku Angulimala (Read this please: http://en.wikipedia.org/wiki/Angulimala) ko bhi mili thi shama (Forgiveness) -- raah chaltay bhikshuk (Beggar) say layta hu prerana (Inspiration) -- kar li meinay maun (Silence) say mitrata (Friendship) -- sah layta hu vyang-ban (Vyang = Sarcasm -- Ban = Arrows) apni parchaiye (Shadow) kay --
Bas ek aupachaarikta (Formality) nibhaatay hai sab mayray saath
Aaj mann hai bahut vichalit (Jolted) -- bahut vyakul (Fraught / Anxious / Disturbed)
Jaisay jhundh (Herd) say bichda (Separated) hua ek nirbaal (Weak) nish-chal (Guileless) maymna (Lamb)
Kya usay dhoondh payega buudha gadariya (Shepherd)
Kya uskay liye laut ayega varaddh (Old) charwaha (Shepherd)
Ya jhapat (Snatch / Maul) laygay usay ekaakeepan (Loneliness) kay dhurth (Shrewd) aur kapat (Deceitful) bhaydiye (Wolves)
Ya andhkaar (Darkness) kay kuroor (Ruthless / Cruel) raakshas (Monsters) nigal laygay usay

No comments: