Mein kal Radio par ek Phone-in Program sun raha tha -- Us mein sab Callers apni apni Dream Destinations ki baat kar rahay thay -- mujeh es baat par bahut tajjub aur afsoos hua ki koi yeh nahi kah raha tha ki woh India hi kay kisi Village jayega aur dahatiyo ki madad karayga -- sab kisi bahar kay mulk hi jaana chah rahay thay -- aur wajeh bhi sirf waha ki Exoticism -- koi apnay khud kay mulk ki Rural Development ki baat nahi kar raha tha -- hamaray Graduate-Level Program mein puray India ka ek Mandatory educational (extended) excursion hona chahiye -- jis mein Students gao gao jaye aur dayhaati zindagi dekhay aur dayhaatiyo ki madad karay -- har College ko chahiye hoga ki woh ek Village ko Adopt karay -- Summer vacation mein yeh kiya ja sakta hai --
Monday, July 15, 2013
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment