Monday, July 22, 2013

Adarshavad (Idealism)

Day dow chatri apni usay -- khud jao bheeg -- dekho koi abla ko na ho takleef -- yahi hai adarshavad -- yeh hai maanavataa -- yehi hai -- yehi thi Mahatmao ki seekh --
bhikshuk bhi rahay sukh say -- day dow aadhi roti apni usay -- balidaan hi banati hai tumeh mahaan -- yehi hai -- yehi tha Gautam ka updaysh aur gyaan -- apnay ahankaar ka karo vinaash -- banao apna vyaktitv -- raho vinamr -- na karo aham -- safalta ka rahays aur kuch nahi -- hai bas kada parishram -- suno antaraatma ki vaani -- saadhu -- santow -- aur mahaan purushow ka yahi hai -- yehi tha dharmopadesh -- karo sankalp -- rahogay atal -- vikalaang kay banogay baazu -- usi ko kahtay hai balwaan -- karo vriddh ka sam-maan -- kabhi na ho nirdhan ka ap-maan

No comments: