Friday, July 19, 2013

Ab dar tumeh kis baat ka hai mayray laadlay

Ab dar tumeh kis baat ka hai mayray laadlay

Utarna hai tumeh apnay badow ki umeedow par pura
Banow aisay kay sab ko fakr ho tum par -- jaisay haqeer patharow mein damkay baysh kheemti hira
 
Bo achay ausaaf kay beenjh
Bano kirdaar kay dhani -- bano sab kay rafeeq
 
Suno apni Maa ki baat
Bura mat maanow jab paday Pita ki daant
 
Seekhow sabakh Shravan say
Ramayana ko bhi kar lo shamil apnay adhyayan (Mutallay) mein
 
Hindusta ko ho tum par naaz
Aisay bano khabil aur janbaaz
 
Mat karo logow mein tafreekh
Chahay koi bhi ho unka pesha aur mazhab -- chahay woh ho kahi say bhi mashrikh ya magrib

Karo adab badow ka -- aur ham-umr ka layhaaz
Sawali ka bhi dil mat tootdhow -- mukhatib karo us-say kah kay aap -- aur karo us say bhi muskura-kar baat

Datay raho tum apni jagah par
Ho saamnay dushmanow kay kitnay bhi lashkar

Howslay ho tumharay Shaheen jaisay buland
Hastay hastay watan kay liye ho jaye tumara sar kalam

Maa ki dua tumharay saath hai
Pita ki talwaar tumharay haath hai

Ab dar tumeh kis baat ka hai mayray laadlay
Tumharay ghoday ki taapow say zalzalay bhi daray

Tumhari lalkaar say bijli bhi ish ish karay
Kaap uthay dushman kay sipahi aur sipah-salaar -- ho jaye unkay khauff say chehray haray

Dushman kay khaymow ki dajh-ji-ya uday
Tumhari teeray aadiyow kay bhi hows-lay past karay

Maharana Pratap kay Chetak par tum ho sawaar
Ab dushman ki talwaar mein kaha woh dhaar -- jo kaat sakay tumhari dhaal -- tumhara baktar

Nahi bach paye koi -- karo tum waar par waar -- jab tak na daal nay woh apnay hathyaar
Lahra dow hamara parcham ab dushman kay khilay par

Baazu tumharay abhi na thakay -- na rakhna myaan mein talwaar abhi
Maida-nay-jung aur bhi hai abhi -- Karbala aur bhi hai abhi

Sirf ilm haasil karnay ka hi ho tumeh loobh
Apni la-ilmi ka hi tumeh ho soug

Na ho tumharay zameer par koi boojh
Farz hamesha yaad rahay tumeh apna aur kirdaar rahay afroz

Ab dar tumeh kis baat ka hai mayray laadlay

No comments: