Nabeena hai woh shaqs -- baitha rahta hai labay-sadak -- pata nahi us ka kya maazi hai -- kya kuch guzri hai us par -- poochay tow kaisay poochay kuch -- kahi thays na pahuchay us-kay dil ko -- kya janm say hi naytr-heen hai ya kuch haadsa pesh aaya hai uskay saath -- dheemay lafzow mein karta hai raahgirow say sawaal -- koi koi hikharat say uski taraf dayta hai ek dow sikkay ucchaal -- mein samajhta hu sab say badi mahroomi nabeena hona hoti hai -- mujeh bayhad afsoos hota hai usay dekh kar -- kisi bhi nabeena ko dekh kar -- mein sochta hu ki Allah mujeh aisi koi jadoo-e -- tilismi salihiyat day day ki mein theek kar du en logow ko -- lekin yeh hargiz mumkin nahi --
Friday, July 19, 2013
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment