Chalna hai tumeh tow abhi milow mayray saath -- lo thaam lo mayra haath -- khaylay-gay ham shatranj har jumay-raat -- kabhi jitogi tum baazi -- kabhi duga mein tumeh maat -- phir bikhar dogi tum shararat say saari mohray -- jab hogi tumeh sheh -- ho tum badi waada khilaaf -- sunaoga mein tumeh alif-laila ki dastaanay har raat -- tumhari bholi aakhow mein hogay jhaypay-jhapay anginit sawalat -- kaha ja rahi ho -- ruko -- abhi kahi hi nahi jo kahni thi baat -- saal bhar mein bas ek mulaqaat -- kuch tow karo riya-yat mayray saath -- kab tak likhukga khutoot tumeh -- ab guftagu ho jaye kuch baraiye raast -- ab tow udh gaya qaasid kabutar bhi mayra -- ek hi tow tha mayra paas -- hai na tumeh mujh par atoot-vishwaas -- rakhuga tumhari har baat ka paas -- tum bhi kar layna kabhi kabhi mayra layhaaz -- mayri gustaakhiyo ko nazar-andaaz -- oobh jaati ho kya tum -- mein hu naw-sik shayer aur bada laffaz -- tareef karu aur tumhari -- mayri logat mein bachay hai kuch aur alfaaz -- tumhari mohabbat nay bana diya mujeh jaa-baaz -- howslay hai etnay buland -- kar sakta hu ab oochi parwaaz -- hai na mayra bhi tum par kuch ekhtiyaar -- jhij-kow mat ab kar lo mujh say aakhay chaar -- batao phir kab hoga tumhara deedaar -- karna padayga mujeh phir puray ek saal tak intayzaar -- yeh tow bahut ziyadati hai mayray gam-gusaar -- talab karti ho mujeh aisi jagah par lagta hai hu-ba-hu raaj dar-baar -- pilani padhti hai mujeh mahgi aur bay-zayekha chai -- kitna karati ho israaf -- mein bannay ki koshish kar raha hu kifayat-shaar -- hu tumharay ishq mein giraftaar -- bas ho nahi sakta ab faraar -- kya dil-kash sama tha woh -- tum baithi thi mayray saam-nay -- mayz kay us paar -- mayri zindagi kow day-diya tumnay ek naya rukh aur ek nayi raftaar -- mein mudh kar nahi dekhta hu ab apnay maazi ko pashaymaani say baar baar -- tumnay tow thama di mayray haathow mein patwaar -- ab ho jayegi aa-saani say mayray jeevan ki nayya paar -- nahi ab khoff bhawar ka -- ya aa jaye maujay hazaar -- aa gaya mujh mein bhi aakhir-kaar kuch zarf aur kirdaar -- ausaaf aur sha-oor -- ban raha hu sageer sa Jon Elia aur Ahmad Faraz -- tum bin mayra jeevan hai ek lamba van-vaas.
Friday, July 5, 2013
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment