Wednesday, July 3, 2013

Ek Ghazal likhnay ki koshish ki hai :-)

Ek Ghazal likhnay ki koshish ki hai -- islaah kijiye bara-e-meherbaani:

Pesh hai jadeed-daur kay Shayer-e-Inqilaab ki taaza ghazal hehehehe

Ghazal ka un-waan hai: Bol Uthay Path-thar

Khumar Saheb -- tawajjow

Ru ba ru ek jal-pari kay -- mein baitha raha gum-sum -- chup-chaap aur dang

Rahay ham kuch pal -- kuch ghadiyow tak ekkahtta -- saath aur sang

Chehray par uskay aa-jaa rahay thay kai anginit rang

Yeh lamha aata hai -- laynay kay baad sow sow baar janm -- fikr nahi ki ab ho jaye uskay liye mayra sar-kalam

Us-say milkay lautay waqt -- mayri chaal thi badi dag-mag aur bay-dhang

Aisa laga jaisay jeet aaya Sikandar-e-Azam ki tarah sow sow jung

Mujeh soojh nahi raha tha ki kya kahu us-say -- hui es baat par woh bahut hairat-mand

Woh lag rahi thi jaisay koi ek -- Brindavan ki sunayh-ri Suranga jaisi -- ghabrai hui kamsin haran

Uski badi badi aakhow mein thi -- thodi si shouki -- thodi si sharam

Rukhsat karnay mujeh aayi woh dah-leej tak -- es ada par todh diya meinay har ahad -- har waada -- har azm -- har kasam

Ho gaya door ab har gila-shika aur wahem --

Uskay mujh par hai badi inayatiye aur karam

Mujeh bas hai ek khayesh -- ek aarzu -- ek ummeed ek bharam

Kay ek din woh bana laygi mujeh apna balam -- apna sanam

Yeh aas hi mein layta aaya mein sow sow baar janam

Hoga ek na ek din tow hamara sangam

Ab nahi tow Qayamat kay baad hoga hamara milan

Esi intayzaar aur justaju mein tadapta rahta hu mein har dam

Ab mayra lahu ban gaya hai mayri sihayi-e-kalam

Uski mohabbat dayti hai mujeh ek anokha baak-pan

Usi ka aks dikhta hai ab har darpan

Woh hai kabhi shola kabhi shabnam

Shayeri nahi hai koi raaz na koi fan

Dil jalta hai tow nikaltay hai alfaaz mayray humdum

Tum hi dayti ho mayri zindagi ko ek nayi tarang

Mayray lafzow ko dayti ho Holi jaisay rang

Jeenay ki ab hai ek ufhnaati aur dheeth umang

Tum bolti ho tow lagta hai jaisay chidh gayi kahi sargam

Bhatakta raha tumhari hi talaash mein watan-dar-watan

Ab tow baandh liya hai sar par safayedh kafan

Kab tak mukraygay tumharay yeh chan-chal -- jadoo-e nayan

Yeh hai bas ek junoon -- ab yehi hai mayra chalan

Hogi tum mayri -- ayegi kabhi tow woh sadi woh san

Tum hasti ho tow lagta hai subah ki khili-khili dhoop chan ayi mayray aagan

Bas haa kah dow -- lay aaoga saja kar doli -- paalki tumharay ghar abhi fauran

Lagauga tumharay haathow par mehendi aur paow pay chandan

Firangi bhi boluga agar tumeh nahi Urdu pasand

Paan khilaoga tumeh roz -- mila kar bahut saara gul-khand

Tum bin zindagi aisay jaisay naag pahlaye apna phan

Mein hu gareeb -- nahi koi mayra haram

Pahlaye hu tumharay saamnay apna chaak daaman

Day dow mujeh mayri saasay waapis -- ban jao mayri sangini -- mayri dulhan

Luta duga tum par bay-jhijhak apna sab-kuch -- apna tan-man-dhan

Ho jao kuch dayr kay liye hi sahi sanjeeda -- chodo yeh bachpan -- yeh ladakpan

Na ban saka sang-tarash ki jamaat say tumhara mujasim -- etnay howsla-past hua ki chodh gaye apnay aaozaar wahi aanan-phaanan

Mor nay tumeh dekh kay kabhi na phir raks karnay ki li saugandh

Teethliye bhool gayi apna et-laana aur bawla-pan

Pathar bol uthay tumhari sar-goshi sunkar -- etnay mad-hosh hua -- aisa chaaya unpar dewaana-pan

Jaha tumnay rakhay kadam -- waha khilay rang-bi-rangi phoolow kay chaman

Hooray ho gayi jyap-kay peechay saikhdow parday aur chilman

Pariyow nay aa-hay bhari -- etni hui unhay hasad aur jalan

Sitaray taab na la sakay tumhari aur gir paday tumharay charan

Kab tak bani rahogi sang-dil -- kuch tow taras khao -- thoda sa tow karo mujh par raham

Dekho jhulas rahi hai mayri ruh -- jal raha hai mayra wajood -- haath thaam lo mayra -- jata lo thoda sa tow apna-pan.

Zakhm mun-da-mil kar dow mayray -- dil pay haath rakh dow mayray -- apna na sako agar mujeh bhari mehfil mein -- tow koi baat nahi -- bas tasleem kar lo tan-hai mein apnay mann hi mann

Mein aisa na tha -- mein tow tha bada na-laayekh aur jaahil -- yeh tow tumharay ishq nay bana diya mujeh kuch hadd tak khabil -- ban gaya ek kavi -- ek laykhak -- jaisay Khumar Barabankvi aur Munshi Premchand.

No comments: