Thursday, July 25, 2013

Sangraam

Hai jeevan mayra ek sangraam
Kranti hai ab bhi mann mein -- honay par bhi viklaang
Hatoga nahi peechay -- jab maati maangay-gi balidaan
Mayri matr bhoomi hi dayti hai mujeh vyaktitv aur pehchaan
Unka rang hai sawla -- unhay sab kahtay hai Shyaam
Madhur basuri bajatay hai woh -- jab hoti hai pratah kaal ya jab prakat hoti hai shaam
Unka var-nan shabdow mein karnay mein mein hu asamarth -- mujeh nahi etna gyaan
Par mujeh bas etna pata hai kaun thay Bheem aur kaun thay Hanumaan
Mein karta hu har dharm ka aadar aur sam-maan

No comments: