Monday, July 8, 2013

Roshni kay minaar waali pari say ek mulaqaat

Mein ho gaya bay-intay-hah margoob
Ru-ba-ru baithi thi ek hu-ba-bu aasmaani hoor

Ki usnay mayri bahut mehmaan-nawazi aur khatir
Phir bhi mayray hosh udh gaye jaisay bukhoor ya kafoor

Mein hu bahut batuni par us waqt ho na saka bay-baak
Jhayp chupanay apni dekhanay laga usay apni pahli kitaab

Darr tha kay woh na padh lay mayray chehray kay tas-su-raat
Uski payni aakhay kar na baithay mayray zameer ka seeena chaak

Woh hai ek Raj Kumari aur mein ek muflis -- ek shayer bay-takhallus
Phir bhi hai ham gehray dost aur bahut bay-takkluff

Apni haath ki damakti anguthi ko woh chaydh rahi thi baar-baar aur bay-sabab
Mayri nazar tahar gayi uski nazuk ugliyow ki shiknow par bay-ekh-ti-yaar aur bar-bas

Likha usnay mayri kitaab mein apni shouk tahreer mein kuch huroof
Wahi lakhirow kay maaynay jutanay mein rahta hu mein aaj kal masroof

Ki hogi meinay kisi pichlay janm mein kadi tapasiyya
Isliye mil gayi mujeh jeeti-jaaagti ek kavita

Mayra dil naach utha jaisay wajhd mein ek dervish
Jab aayi woh mayray saamnay pahnay pariow jaisa libaas aur banaiye hoorow jaisa bayhs

Aisa laga jaisay sab kar rahay us-say maayri tang-dasti ki mukh-bari
Mein ho gaya bahut mayoos hui es-kadar ahsaas-e-kamtri

Haath rahay thay mayray laraz
Awaaz mein bar-kha-raar na rahi garaj

Dar-o-dewaar ki bhi aakhay lag rahi thi khafa khafa aur sard
Paltay nahi ja rahay thay mujh say mayri kitaab kay warkh

Ham mein zameen aasmaan ka hai antar aur farkh
Woh baday salikhay say chipa jaati hai mayray pasta honay ka yeh sach -- jaisa padhta nahi usay koi harj

Fanoos ki chaka-chondh roshni sarp bankay kar rahi thi mayri ankhow ko das
Mayray hows-lay ho rahay thay aur bhi past

Ek ek chehray kay nazar aa rahay thay hazaar hazaar aks
Mayray pairow mein tha raasha aur aakhow mein tha rashq

Jaisay sab talab kar rahay thay mayri waha maujudagi ka sabab
Unkay hoothow par tow thi pheeki muskurahat par aankhow mein gehra tanz aur hasad

Woh yaad dilaanay say chukti nahi mujeh mayra farz
Kay mein baakhi hu abhi apni zameer ka karz

Mein hu jaisa ek toota hu darakht
Na ho saka phal-daar na day saka saaya

Ya hawa mein udhta hua koi awaara warq
Jo dhool kay gubaar mein ho jayega kahi garkh

Mein hu meel ka ek tootha hua pathar
Kar nahi sakta kisi ki rah-bari laakh chahkar

Hai yeh sab tumhari mohabbat ka asar --
Mujh mein nahi tow kaha Ghalib jaisay jowhar

Koshish bahut ki magar ban nahi saka gowhar
Dekha hai meinay waqt aur haalaat kay saath badaltay duniya kay taywar

Pari nay lay liye insaani roop
Jaisay padh rahi ho baarish aur tabhi khil ayi ho saaf gehri khil-khilaati dhoop

Hai uski haathow ki lakhirow mein mayri taqdeer nazar-band
Waada kiya tha usnay phir mukar gayi -- kaha tha kay laiygi mayray liye ek tilismi baazu-band
Kaisay kahu us-say ki mein hu us-ka kitna ahsaan-mand
Hisaab kaisay du uski karam-farmaniyow ka fardan fardan
 
Woh hai hamdard -- baatay hai uski marham -- mundamil hua mayray zakhm -- ab jaata raha mayra marj
Karti hai woh sulook bay-lowz aur bay-garz
Woh ha ek jugnu - ek rahbar
Nahi tow andhkaar mein kha raha tha mein dar dar ki thokar
Gahen lag gaya tha mayri zindagi ko -- cha gaya tha har taraf ghup andhera
Woh ban ayi subah ki pahli kiran -- roshan ho gaya phir say mayra basayra
Aasman ko bhi thi jaisay mujh say ranjish -- barkh thi ki ab lapak laygi mujh ko -- mayri kashti honay ko thi ab garkh -- toofaani -- andheri thi raat -- maujow ko tow koi nahi day sakta tha maat -- tabhi roshni ka minaar nazar aaya -- waha rahti thi ek pari -- bani woh mayri rahbar -- chattanow say bach-tay bachatay mein kisi tarah pahucha kinaray tak -- kissa-mukh-ta-sar -- yeh nahi tha koi afsaana -- yeh thi ek aap beeti -- haqiqat mein hui thi ek pari say mulaqaat -- zyada din nahi hua hokay yeh baat -- ab maanow ya na maanow aap yeh baat. :-) aur ek baat -- dar-asal mein koi shayer nahi -- bas likh layta hu anaap-sha-naap.

No comments: