Kya woh padhti roz badi badi kitabay hai
Kabhi kabhi karti apnay aap say baatay hai
Kya bay-sabab -- bay-wajah darpan mein dekh muskuraati hai
Latow mein padhi geethiyow say ulhahj jaati hai
Kya sitarow ki bhaasha unhay samajh aati hai

Kisi bach-chay ki patang ki uljhi dowr suljhaatay suljhaatay unki ugliyow mein surkh nishaan padh jaatay hai
Kya etwaar ki dow-pahar oobh jaati hai
Chup chaap baithi titli ko uksaati hai
Kya tasveer khichaatay waqt shareer chehray banati hai
Apni kitaabow mein sukhay phool rakh kar bhool jaati hai
Kya apnay aagan ki gilayriyow ko pakadhnay kay naye naye lekin na-kaam mansubay banati hai
Chuph chuph kay -- jhayp jhayp kay -- baarish kay chandhni par giray olay dhoondh dhoondh kay khaati hai

Kya pariyow ki kahaniye unhay ab bhi lubhaati hai
Safaydh ghoday par sawaar raj kumar kay sapnay unhay ab bhi aatay hai
Kya apnay saaray paisay nukkad par baithi budhiya ko day kar khushi khushi lekin khali haath ghar laut aati hai
Bachchow say daudh mein jhooth-moot haar jaati hai
Kya shatranj kay mohray galat khanow mein bay-khayali mein jama kar -- jhayph jaati hai
Nujoom ki kitaab sab say chipa kar ghar la-kar -- apnay haath ki lakhirow ki pahliye khud bujhnay ki koshish karti hai
Kya cheetiyow ki kataar ko sab kay mana karnay kay ba-wajood bhi misri ki daliye has has kar -- khil-khila-kar khilati hai
Bheegtay billi kay bachchay ko sadak kay kinaray say ghar utha laati hai
Kya guzarti rail gaadi kay dabbay apni ugliyow kay pairiyow par ginti hai
Rayth kay gharoday bananay nanhay bachchow kay esraar par sang ho layti hai
Kya safaydh kagaz kay hawai jahaaz aur kishtiye bana bana kar -- un mein Qous-O-Qazah kay rang bhar kar -- nanhay bachchow ko baath-ti hai
Zameen par giray chidiya kay bachchay ko seedi rakh kar ba-muh-kil waapis uskay ghoslay mein rakhti hai
Kya sahil par anokhi seepiye aur rang-bi-rangi pathar chunti hai
Aakh mal mal kar -- jhoot-moot row kar -- phir has kar -- bachchow ka mann bahlaati hai