Tuesday, August 6, 2013

Ek awaaz ki talaash...

Unki yeh kaisi bay-rukhi hai -- yeh kaisi khamoshi hai
Dekhiye mujeh shikist mayri taqdeer phir say day rahi hai

Ek baar suni thi unki khan-kha-na-ti hasi
Tab say bas talaash usi awaaz ki hi hai

Mushairay mein shareek hu -- sab shora padh rahay hai apna apna kalaam
Bas mayri hi ghazal na-mu-kam-mil si hai

Muzaihayray mein hi gir pada apnay ghoday say
Nahi tow yakeen maaniye mayri gowdh-sawari shehzadow aur sipah-salarow si hai

Maloom nahi woh kab ayegi
Afsoos tow es baat ka hai kay unhay yeh nahi pata ki ab mayri zindagi chiraag-e-sehri si hai

Kya woh laut ayi -- kya kisi nay dekha aatay hua uran khatola
Phir hawao mein yeh shehnai si kyu goonj rahi hai

Dil par zarb pay zarb chal rahay hai -- khamoshi kay sow-sow saap das rahay hai
Kaifiyat ek dervish ki si hai

Aleef aur Noon likhna nahi aata -- phir bhi karta hu shayeri
Himaqat mat samjiye esay mayri -- bas yu samjhiye ki yeh ek mayra junoon sa hai

Bas un tak pahuch jaye mayri nazmay
Kya woh aa gayi bazm mein -- chilman kay peechay kuch hal-chal si hui hai

No comments: