Sunday, August 4, 2013

Kisi ka laadla chala gaya...

Kata daytay hai woh sar hamaray liye
Ujadh jaatay hai unkay ghar hamaray liye

Bina baap kay bilakhtay hai bachchay
Unkay boodhay Maa Baap ki aakhow say hai khoon kay aasu tapaktay

Nahi hamara koi un say rishta
Lekin phir bhi chita par jal jaatay hai unkay shav hamaray liye

Ham saal mein ek -- dow baar bajatay hai geet aur jalatay hai patakhay
Esi tarah ham apna farz nibhatay aur unka ahsaan chukaatay

Ab unkay ghar phir kabhi nahi hogi Holi ya Diwali
Hamay kya hai -- ham tow har roz Eid manatay

Hamari aakhow mein aata nahi ek bhi aasu
Aur unkay pariwaar kay logow kay aasu sookh nahi paatay

Dayti hai sarkar kuch paisay aur tamgay -- akhbaar mein chaphti hai tasveer
Bas ham ho jaatay hai subok-dosh -- unhay jald bhool jaatay

Apnay laadlay ko tow fouj mein nahi bharti karatay
Dusray kay sapoot ki shahadat ka afsoos bhi nahi kartay

Kya tumhara zameer lal-kaarta nahi tumeh
Kya watan pukaarta nahi tumeh

Nayi nawayli dulhan ki maang say sirf sindhoor nahi gaya
Uski aankh say aasha ka sitara chala gaya

Ab laut kay kabhi nahi ayega maa ka laadla
Tumeh kya hai tumnay tow apnay chanda kay ujwal bhavish kay liye usay videsh bhayj diya

Budhay baap ka sahara chala gaya
Gowdh mein jisay khilaya tha -- khandow par jisay bithaya tha -- woh dulara chala gaya

Tum tow shahadat ka bhi sauda kartay ho
Taabut pay bhi munafa kamatay ho

No comments: