Thursday, August 1, 2013

Agar zindagi saath day tow...

Thodi si siyahi -- ek kalam -- kuch kagaz chahiye bas
Ek naya inquilaab likh duga

Agar zindagi saath day tow
Ek kranti-kari kitaab likh duga

Unkow ruswa karnay ka darr tow hai lekin phir bhi
Apni kavita mein unka naam likh duga

Ek-ad shayr ki tow baat hi kya hai
Mein tow apna pura divan unkay naam likh duga

Siyahi nahi hai tow koi baat nahi
Apnay khoon say watan kay shaheedow ka naam likh duga

Agar waada karti ho ki padhogi mayri kitaab
Tow mein aw-wal safay par hi kahani ka anjaam likh duga

Daulat tow nahi hai mayray paas
Bas wasiyat mein apni purani kitaabay tumharay naam likh duga

Jo awaaz lal-kaarti hai mayray zameer ko
Us kay peechay chipay chehray ka naam likh duga

Khaoff-zada karnay ki koshish mat karo mujeh
Khud apni maut ka mein farmaan likh duga

Mayri wafa-daari par shubha na karo
Bachi-kuchi saasay bhi watan kay naam likh duga

Maana kay ek naya tarana har-giz nahi bana sakta hu
Lekin desh waasiyow kay liye apnay khoon say ek aakhiri payaam likh duga

Etna zarf hai ki kaatil ko apna khoon mwaaf karuga zuroor
Uski talwaar par apni kalam say kisi gum-naam kay sar ilzaam likh duga

Rukiye abhi apni kalam ki nok mat todhiye munsif saheb
Esi kalam say mein aap kay liye lambi hayaat ki dua-e likh duga

Tum par na aanay paaye koi harf -- tum ho jaana ba-izzat bari
Iqbaaliye baayan mein mein saaray jurm apnay sar likh duga

Mat ladho aap-pas mein bach-chow tum
Mayra pushtaini makaan bhi tumharay naam likh duga

No comments: