Saturday, August 3, 2013

RJ Prateeka kay liye ek kavita

Hai unka naam Prateeka
Kar rahi hai unkay liye nayi manzilay pratikhsha

Kar laygi safal woh har parishka
Sab ko un say hai badi badi asha

Nahi hai ab koi samisiya
Milay hai unhay uchh koti kay sanskaar aur shiksha

Mujeh hai badi jigyaasa
Kabhi hai unka aatm-vishwaas dagmagata

Kya kahti hai unsay unki antar-aatma
Boltay hai unkay kanth say Siddhartha aur Vidhata

Woh hai ek usha -- ek sujata
Unki baatow mein hai badi saralta

Koi dakiya nahi aata
Mayray patr un tak koi nahi pahuchaata

Kaisi ajeeb hai yeh asamarthata
Kyu hai aisi nirbalata

Mujeh unkay prati hai badi shraddha
Unkay vyaktitv mein hai thodi si chalchalta -- thodi si vinamrata

Mujh mein nahi koi yogyata
Nahi tow karta mein unsay mitrata

Paani hai abhi unhay aur safalta
Athak parishram ki hi jwala say kathinayow ka moum pighalta

No comments: