Monday, August 5, 2013

Kyu dhoondh-ta hu mein woh awaaz ko...

Jaisay garma ki dopahar hai -- koi maidaan hai -- har taraf haryaali hai -- aur wahi kahi door koi gadariya ki laathi kay gungh-ru bajh rahay ho -- woh awaaz kuch kuch aisi thi --

Ek pakeezagi thi -- ek hijaab tha -- kisi bay-gunah kay bay-ekh-ti-yaar bahtay aasu thay

Aisa laga jaisay kisi nay saleeb pay say utaar diya

Jaisay sang-saar rok diya gaya -- aur kisi nay mashk udayl di

Jaisay kisi ek dervish ki dua thi

Jaisay koi parinda riha kar diya gaya ho

Jaisay path-jadh mein aangan mein pattay bay-tar-teeb bikhray paday ho -- aur un mein hi kahi kisi ki khoyi hui chandi ki paazayb ki ek jodh padi mil gayi ho

Jaisay kisi masoom ki atoot kasam

Jaisay kisi nanhay bach-chay nay dekha pahli dafa aasmaan par Qous-O-Qazah kay rang

No comments: