Sunday, August 4, 2013

Jo parwaaz na kar saka...

Es shor mein kaisay pahchan pauga mein aap ki awaaz
Ab bay-wafai karnay lagi hai mujh say mayri yaad-dasht

Kahnay ko tow aap say bahut kuch hai lekin
Sahi waqt par daga day jaatay hai alfaaz

Mayri zindagi tow hai ab ek rayt-ki-ghadi
Milaygi aap tow bata duga ek hi saas mein apnay saaray raaz

Dekhi kabhi aap nay -- kisi safaydh kabotar kay bach-chay ki pahli parwaaz
Pankh phadh-phadha-tay karna uska -- woh buzurgh ki kaali gumbaz ka tu-waaf

Ghosla banatay chidiya kay joday ki masar-rat aur shor-o-gul
Mohabbat ka tinka tinka jama kar kay hi kartay hai -- ek nayi zindagi ka aa-gaaz

Maa nay dua di thi ki rahna tum hamesha sarfaraz
Shayad isiliye ab bhi log kartay hai jhuk jhuk kay salaam aur aadaab

Mein kya jaanu parwaaz kya hoti hai -- kya hoti hai uchi udaan
Udh-nay ki jab umr aayi tabhi katar diya par bay-raham sayad

 

No comments: