Sunday, August 11, 2013

Ek Ghazal jo mukam-mil nahi ho payi...

Qasid nay tow kiya farz apna ada
Phir kaisay ho gaya mayra khat la-pata.

Mujeh hai sar-kash hawao par shuba
Shayad koi jhoka -- unkay haatow say -- mayray khotoot kay warkh lay uda.

Sadr-e-mushaira ki shararat tow dekhiye -- dekhiye unki anokhi ada
Mayri Ghazal tow thi mukammil -- par pahlay misray par hi kah diya alwida.

Ab karay bhi tow kis say karay shikayat aur shikwa
Bhari mehfil mein un-honay kar diya mujeh ruswa.

Taweel intayzaar kay baad mila hai yeh sila
Yeh kaisi bay-rukhi hai -- ab mein kaisay karu unsay il-tay-ja

Manzil khareeb thi -- lekin mein hi karwa say bichadh gaya
Yeh kaisi taqdeer hai -- yeh kis ka hai faisla.

Doobtay ko tinkay ka sahara bhi nahi mila
Zarb lagati hai dil par pahlay phir kahti hai muskura dow zara.

Yeh unka kaisa insaaf hai bhala
Mayra naam bhi nahi layti pura -- kahti hai fala-fala.

Baatay hai unki jaisay pahliya
Kam say kam yeh tow batati ki kaun kaun hai unki sahliya.

Kya unhay sab bulatay hai kahkasha
Ya mein rakh du unka naam zufisha.

Mein tow pahlay say hi tha haira aur paraysha
Ab ek nayi aafath mein ho gaya mulaw-wis aur mub-tay-la.

Jugnu apni kismat ka kis say karay gila
Andayrow par kis ka aaj tak bas chala.

Kuch bhi kaho yeh hai ek khoobsurat sil-sila
Zidd aisi kay nahi padhti mayray woh khat -- pata nahi kya hai unka fal-safa.

Mayray sawaalow ka jawaab tow mujeh nahi mila
Lekin aaj raat aasmaan mein kahi door ek sitara toot kay gir pada.

Ab tow hai bas ek hi dua
Kaisay bhi door ho yeh mar-hala.

Nahi kisi aur ka un jaisa andaaz-e-baya
Bataiye es Ghazal ka unwaan mein rakhu kya.

Ab dar nahi ho jaye sow sow karbala
Acha bataiye kab padhaygi mayri puri ghazal o saba.

No comments: