Saturday, April 29, 2017

na they kahfile na bichadhne ka darr
na tha sehra na sihr
manzil ki talaash thi
dushman mustaid thay
mayray khadm bhi tayz thay
us taraf padhi nazar
tow bas ek reth ka sailaab tha
zarra zarra faulaad tha
shuio ka jaise huzuum tha
sase jaise sakht barood tha
tha akela yeh khaoff bhi tha
kahi yeh sam na saath na le le
yeh dekho ho gaye mayre housle past
jung shuri hui na thi ki usne kaha shikist
es sharmandagi par mein ho gaya aajiz
woh gadh gaye teri nazar
jis mein tha farkh hi fakhr
ek shoui jo bas yu padi
dekh sow gayi teri saari roshni
mujh se tow aakh mila le
falak ko dekhne ki baat na kar
palak jhapakne se pahli hi jam gaye
yeh kya nazar ka junoon tha
abhi the -- ab yeh pooch rahe hai -- yeh kaun tha?

No comments: