Saturday, April 29, 2017

taqdeerow ki kashmakash hai
jaisi mein hu sahil pe
aur har simd har taraf tayz tayraar sarkash lehar
woh doob rahi hai dol ke mayri kashti
yeh bas ek patwar le mein khada hi reth pe

khauff na mujh ko yu dila
aise na yu sar buland kar
yeh dekh mishk
yeh saari himqat ek aasu hi boondh mein thami hai

chattow mein naher kya thi
zidd bhi thi aur thodi si ziyadati
yaha ban zayega raygistao ka ghar
unka tha bas yaad aaya woh reth ka mahal
mujeh bas yu ettaya-faakhan unhe tokna

yaad rahi -- es dafa har guztakhi mwaaf hui
bas yuhi usi chilman par koi
kuch adhura sa kuch likha thak
mujeh tow kuch yaad nahi
kya kuch shararat aap kay bhi saath hui


No comments: