Saturday, May 24, 2008

Khumar Barabankvi: Urdu Poet

vahii phir mujhe yaad aane lage hai.n
jinhe.n bhulaane me.n zamaane lage hai.n

vo hai.n paas aur yaad aane lage hai.n
muhabbat ke hosh ab Thikaane lage hai.n

sunaa hai hame.n vo bhulaane lage hai.n
to kyaa ham unhe.n yaad aane lage hai.n

haTaaye the jo raaste se dosto.n kii
vo patthar mere ghar me.n aane lage hai.n

ye kahanaa thaa un se muhabbat hai mujhako
ye kahane me.n mujh ko zamaane lage hai.n

qayaamat yaqiinan qariib aa rahii hai
'Khumar' ab to masjid me.n jaane lage hai.n

-- Khumar Barabankvi / Urdu Poet

No comments: