Tuesday, May 2, 2017

eska unwaan unhe maloom hai -- kahna wahi gumnaan dhoodh raha tha

kis ki nazaar utaar di
tow isliye etni gehri raat hai
tow yeh ukna aks hai
mein samjha ghazal ki tasveer hai

nahi mayri taqdeer nahi
yeh koi dhudhli tasveer nahi
musawaair yaha koi nahi
bas mayre kalam ki shukhiye

unki aakhow ka rang
baarish kab hui -- yeh tow mujeh yaad nahi
bas yuhi sahem gaya
wahi bay baak awaaj -- meine sun li -- bas yahi gutaakiya

jab dekha tha -- haa phir ab dekha
haa haa chehra yaad tha
bas mein bas pehchaana nahi
nahi nahi mayray ghar ya aagan
kabhi kisi pari ka aana jaana nahi

sab kuch badal gaya
haa haa -- waqt -- raftaar -- ji haa ji haa
dil kya dil -- kya malaal -- kya afsoos
woh kisi aur ke saath thi -- nahi mujeh tow koi gila nahi

o tow yeh sach hai kya sach uski aakhow mein raat rahti hai
haa kisi se kuch mat kahiye -- waha mayre khwaab bhi hote hai
kya matlab -- woh waha kyu rahti hai
tabeer dhoondhe gaye the -- ab tak laute nahi

tow ab kya karege
sab shair kya karte hai
matlab
bas aakhow ke tilism ko khalam bandh

tow aap saahir hai
kya yeh uspar bhi zaher hai
matlab phir yeh hua zuroor kuch fareb hai
yeh bataiye woh udal khatola kaha chipa ke rakhti hai

dheere kahiye sun laygi
o kya aakhow ke ishaare bhi samjhti hai
usi se poochiye
kaha chale
aray shaher saheb
woh yahi hai
ab un taarow ko pareshaan kyu kar rahe hai bhala

tow kya woh dervish ki kahani sach hai
pata nahi -- kahi kisi kitaab mein tow yeh zikr nahi
mujeh kabhi kabhi lagta hai use aap ki fikr hai
yeh kab kya zikr chedha -- haa mujeh bahut fursat hai







No comments: