Tuesday, July 9, 2013

Tasaw-wur -- Jab banogi tum dulhan

Dekhuga mein tumeh surkh ghoonghat oodhay -- mayray ghar bhi bajaygi naubat sawayray sawayray -- laygay ham pavitr agni kay saat phayray -- chalaygay phir saath ham kisi nadi kay kinaray kinaray -- jalaygay deepak mayray aagan jaisay tim-timaatay taaray -- mehendi muskaiyegi tumhari hathayliyow par -- seepiyo kay moti gayegay geet -- sitaray baarish mein jayegay bheegh -- kirnay layegi baadlow ka vardaan -- aasma ko bhi hoga tum par abhimaan -- andhayra kar dayga khushi-khushi apna balidaan -- panchi bhi karaygay tumhari char-cha -- dheemi dheemi tham-tham kay hogi varsha -- zameen abrakh jaisay damkaygi -- phool karaygay tum say dabay dabay lafzow mein shikwa -- hogi pariye saray-aam ruswa -- hoga kaliyow mein ekhtaylaaf -- subah jayegi tahar -- tumharaay chehray say nahi hataygi uski nazar -- phir tow hogi holi har din -- indra-dhanush apna layga tumhara rang -- lahrow mein hogi ek nayi aasha -- ek nayi jigyasa -- ek naya tajas-sus -- hans ka udh jayega rang -- udaygi har aakaash mein rang-bi-rangi patang -- pahnaygi hawa paajayb -- suraj mein hoga ek naya tayj -- tooth jayegay sarod kay taar -- nadiye bhi nahi karaygi shor -- pankh pahlayegay mor -- mujasimay batayegay apnay raaz -- shahnai baytaab ho jayegi sunnay tumhari awaaz -- yeh waqt ayega zuroor ek roz -- basuri bajayegay kalandar charagar -- maymnay bharagay chalagay edhar udhar -- dobaygi nahi kisi balak ki kagaz ki kashti -- fawarray chu laygay hawa kay pankh -- gubbaray chaydh-day-gay badal kay daaman ko --
 

No comments: