Tuesday, May 2, 2017

eska koi unwaan nahi -- haa yeh hai -- par yeh tow koi naam nahi
ji haa mila bahut dafa -- bas tarruf kabhi hua nahi
kaha rahti hai -- kaun acha woh
pata nahi -- shayad bahut door
kya faasla -- mein kabhi us taraf gaya hi nahi
nahi kaha tha
mein shayad samjha nahi
phir us ke baad
mein raha tanha nahi

bas mayre ghar se zyada faasla bhi tow nahi

Surkhab ki talaash mein
sarab sarab ka fareb bhi
sehra ka sihr hai yeh
pao ke abile mayray

bas ek us goonj ki ahat kay liye
awaaz hi kho diya

saaye ka takkub kiya
aisi pata nahi kyu zidd kya
shayad woh baat thi mujeh
usne kaha tha kabhi -- chavi hu mein o kavi

shayad woh shararat thi -- ya yu hi mazaakh tha
yahi tai karne kay liye -- dekho saari umr -- ek khasmkash

us simd gayi -- ya phir es taraf
mein yahi ruka raha
yeh kya san hai
kya kab hui shab

kya yeh seepi hai
o acha phir tow woh mooti hai
nahi nahi koi nahi dukh -- kaha kya aasu
tow acha yaha samadar tha -- nahi mein tow kab se us reth ke tilay par baitha tha

nahi ayi -- khat na khabar
kya kaha dopahar
ji ji tow yeh gao hai
tow woh kya kaha kaun sa shaiher
o tow mein -- yahi baitha raha saari umr
kya baysab -- tow phir kya kaha saba nahi
nahi nahi mujeh koi mili nahi
o tow acha use bhi koi mila nahi
nahi nahi hum nahi bichde
woh dar asal ham mile hi nahi
silsila gila wagairah nahi nahi kuch bhi nahi
usne kabhi kuch nahi
bas etna ke meine jo bhayja tha
woh kya -- nahi aisa koi khat mila nahi
nahi mein bilkul ranjeeda nahi
haa woh shuru se hi sanjeeda hai
bas us dafa yaad hai -- haa bas hasi thi
phir shayad woh dobara mila nahi

No comments: