haa.e logoñ kī karam-farmā.iyāñ
tohmateñ bad-nāmiyāñ rusvā.iyāñ
zindagī shāyad isī kā naam hai
dūriyāñ majbūriyāñ tanhā.iyāñ
kyā zamāne meñ yuuñ hī kaTtī hai raat
karvaTeñ betābiyāñ añgḌā.iyāñ
kyā yahī hotī hai shām-e-intizār
āhaTeñ ghabrāhaTeñ parchhā.iyāñ
ek rind-e-mast kī Thokar meñ haiñ
shāhiyāñ sultāniyāñ dārā.iyāñ
ek paikar meñ simaT kar rah ga.iiñ
ḳhūbiyāñ zebā.iyāñ rānā.iyāñ
rah ga.iiñ ik tifl-e-maktab ke huzūr
hikmateñ āgāhiyāñ dānā.iyāñ
zaḳhm dil ke phir hare karne lagīñ
badliyāñ barkhā ruteñ purvā.iyāñ
dīda-o-dānista un ke sāmne
laġhzisheñ nākāmiyāñ paspā.iyāñ
mere dil kī dhaḌkanoñ meñ Dhal ga.iiñ
chūḌiyāñ mausīqiyāñ shahnā.iyāñ
un se mil kar aur bhī kuchh baḌh ga.iiñ
uljhaneñ fikreñ qayās-ārā.iyāñ
'kaif' paidā kar samundar kī tarah
vus.ateñ ḳhāmoshiyāñ gahrā.iyāñ
No comments:
Post a Comment