Friday, July 5, 2013

Shatranj

Chalna hai tumeh tow abhi milow mayray saath -- lo thaam lo mayra haath -- khaylay-gay ham shatranj har jumay-raat -- kabhi jitogi tum baazi -- kabhi duga mein tumeh maat -- phir bikhar dogi tum shararat say saari mohray -- jab hogi tumeh sheh -- ho tum badi waada khilaaf -- sunaoga mein tumeh alif-laila ki dastaanay har raat -- tumhari bholi aakhow mein hogay jhaypay-jhapay anginit sawalat -- kaha ja rahi ho -- ruko -- abhi kahi hi nahi jo kahni thi baat -- saal bhar mein bas ek mulaqaat -- kuch tow karo riya-yat mayray saath -- kab tak likhukga khutoot tumeh -- ab guftagu ho jaye kuch baraiye raast -- ab tow udh gaya qaasid kabutar bhi mayra -- ek hi tow tha mayra paas -- hai na tumeh mujh par atoot-vishwaas -- rakhuga tumhari har baat ka paas -- tum bhi kar layna kabhi kabhi mayra layhaaz -- mayri gustaakhiyo ko nazar-andaaz -- oobh jaati ho kya tum -- mein hu naw-sik shayer aur bada laffaz -- tareef karu aur tumhari -- mayri logat mein bachay hai kuch aur alfaaz -- tumhari mohabbat nay bana diya mujeh jaa-baaz -- howslay hai etnay buland -- kar sakta hu ab oochi parwaaz -- hai na mayra bhi tum par kuch ekhtiyaar -- jhij-kow mat ab kar lo mujh say aakhay chaar -- batao phir kab hoga tumhara deedaar -- karna padayga mujeh phir puray ek saal tak intayzaar -- yeh tow bahut ziyadati hai mayray gam-gusaar -- talab karti ho mujeh aisi jagah par lagta hai hu-ba-hu raaj dar-baar -- pilani padhti hai mujeh mahgi aur bay-zayekha chai -- kitna karati ho israaf -- mein bannay ki koshish kar raha hu kifayat-shaar -- hu tumharay ishq mein giraftaar -- bas ho nahi sakta ab faraar -- kya dil-kash sama tha woh -- tum baithi thi mayray saam-nay -- mayz kay us paar -- mayri zindagi kow day-diya tumnay ek naya rukh aur ek nayi raftaar -- mein mudh kar nahi dekhta hu ab apnay maazi ko pashaymaani say baar baar -- tumnay tow thama di mayray haathow mein patwaar -- ab ho jayegi aa-saani say mayray jeevan ki nayya paar -- nahi ab khoff bhawar ka -- ya aa jaye maujay hazaar -- aa gaya mujh mein bhi aakhir-kaar kuch zarf aur kirdaar -- ausaaf aur sha-oor -- ban raha hu sageer sa Jon Elia aur Ahmad Faraz -- tum bin mayra jeevan hai ek lamba van-vaas.

Ek atoot-bandhan

Waqt nay li na jaanay kitni karwatay -- Taqdeer nay likhay naye naye warkh -- Guzray kaye saal aur varsh -- Phir bhi bana raha hamara gehra sam-bandh -- ek atoot-bandhan.

Ek kamsin pari ka pahla khwaab

Us mein hai etna hijaab -- jaisa ek kamsin pari ka -- raat ki aakh-ri pahar ka -- pahla sharmila khawaab --
Ek nazar padthi hai uski mujh par tow mein ho jaata hu pal bhar mein raakh
Us say kya nazray milao mein woh tow hai ek aftaab
Uskay liye mayri zindagi hai ek khuli kitaab
Ho gaya ab faash har raaz

Sarfaroshi

Kata duga sar -- bas tum kar dow zara ishara agar -- mohabbat la khadi ki hai mujeh sarfaroshi ki dagar -- ab nahi manuga haar pal bhar -- tum na chali jaana kabhi rooth kar -- yeh safar hai mukh-tasar -- milo na chandhni par aaj dow-pahar -- baithi raho mayray saamnay pal bhar --

Junoon

Bay-jhi-jhak pi lunga kholti sheesh -- duba duga khud ko aatish-fisha mein -- chu lunga udh-kar aas-maan mein barkh -- bay-khaouf raakh kar duga apna wajood -- apna zarra zarra -- surkh lahu say likhuga apnay afsaanay ka ek ek waarkh -- etni tow hai shiddat -- etni tow hai tapish -- etna tow hai junu mayray ishq mein -- etna tow hai hows-la -- etni tow hai himmat -- etna tow hai zarf -- tum kar lo mayra yaki -- mohabbat mein na rahay koi karz baakhi -- ashkhow say chukauga hisaab saathi -- yeh hi ab mayra farz -- mayra dharam.

Wednesday, July 3, 2013

Ek Ghazal likhnay ki koshish ki hai :-)

Ek Ghazal likhnay ki koshish ki hai -- islaah kijiye bara-e-meherbaani:

Pesh hai jadeed-daur kay Shayer-e-Inqilaab ki taaza ghazal hehehehe

Ghazal ka un-waan hai: Bol Uthay Path-thar

Khumar Saheb -- tawajjow

Ru ba ru ek jal-pari kay -- mein baitha raha gum-sum -- chup-chaap aur dang

Rahay ham kuch pal -- kuch ghadiyow tak ekkahtta -- saath aur sang

Chehray par uskay aa-jaa rahay thay kai anginit rang

Yeh lamha aata hai -- laynay kay baad sow sow baar janm -- fikr nahi ki ab ho jaye uskay liye mayra sar-kalam

Us-say milkay lautay waqt -- mayri chaal thi badi dag-mag aur bay-dhang

Aisa laga jaisay jeet aaya Sikandar-e-Azam ki tarah sow sow jung

Mujeh soojh nahi raha tha ki kya kahu us-say -- hui es baat par woh bahut hairat-mand

Woh lag rahi thi jaisay koi ek -- Brindavan ki sunayh-ri Suranga jaisi -- ghabrai hui kamsin haran

Uski badi badi aakhow mein thi -- thodi si shouki -- thodi si sharam

Rukhsat karnay mujeh aayi woh dah-leej tak -- es ada par todh diya meinay har ahad -- har waada -- har azm -- har kasam

Ho gaya door ab har gila-shika aur wahem --

Uskay mujh par hai badi inayatiye aur karam

Mujeh bas hai ek khayesh -- ek aarzu -- ek ummeed ek bharam

Kay ek din woh bana laygi mujeh apna balam -- apna sanam

Yeh aas hi mein layta aaya mein sow sow baar janam

Hoga ek na ek din tow hamara sangam

Ab nahi tow Qayamat kay baad hoga hamara milan

Esi intayzaar aur justaju mein tadapta rahta hu mein har dam

Ab mayra lahu ban gaya hai mayri sihayi-e-kalam

Uski mohabbat dayti hai mujeh ek anokha baak-pan

Usi ka aks dikhta hai ab har darpan

Woh hai kabhi shola kabhi shabnam

Shayeri nahi hai koi raaz na koi fan

Dil jalta hai tow nikaltay hai alfaaz mayray humdum

Tum hi dayti ho mayri zindagi ko ek nayi tarang

Mayray lafzow ko dayti ho Holi jaisay rang

Jeenay ki ab hai ek ufhnaati aur dheeth umang

Tum bolti ho tow lagta hai jaisay chidh gayi kahi sargam

Bhatakta raha tumhari hi talaash mein watan-dar-watan

Ab tow baandh liya hai sar par safayedh kafan

Kab tak mukraygay tumharay yeh chan-chal -- jadoo-e nayan

Yeh hai bas ek junoon -- ab yehi hai mayra chalan

Hogi tum mayri -- ayegi kabhi tow woh sadi woh san

Tum hasti ho tow lagta hai subah ki khili-khili dhoop chan ayi mayray aagan

Bas haa kah dow -- lay aaoga saja kar doli -- paalki tumharay ghar abhi fauran

Lagauga tumharay haathow par mehendi aur paow pay chandan

Firangi bhi boluga agar tumeh nahi Urdu pasand

Paan khilaoga tumeh roz -- mila kar bahut saara gul-khand

Tum bin zindagi aisay jaisay naag pahlaye apna phan

Mein hu gareeb -- nahi koi mayra haram

Pahlaye hu tumharay saamnay apna chaak daaman

Day dow mujeh mayri saasay waapis -- ban jao mayri sangini -- mayri dulhan

Luta duga tum par bay-jhijhak apna sab-kuch -- apna tan-man-dhan

Ho jao kuch dayr kay liye hi sahi sanjeeda -- chodo yeh bachpan -- yeh ladakpan

Na ban saka sang-tarash ki jamaat say tumhara mujasim -- etnay howsla-past hua ki chodh gaye apnay aaozaar wahi aanan-phaanan

Mor nay tumeh dekh kay kabhi na phir raks karnay ki li saugandh

Teethliye bhool gayi apna et-laana aur bawla-pan

Pathar bol uthay tumhari sar-goshi sunkar -- etnay mad-hosh hua -- aisa chaaya unpar dewaana-pan

Jaha tumnay rakhay kadam -- waha khilay rang-bi-rangi phoolow kay chaman

Hooray ho gayi jyap-kay peechay saikhdow parday aur chilman

Pariyow nay aa-hay bhari -- etni hui unhay hasad aur jalan

Sitaray taab na la sakay tumhari aur gir paday tumharay charan

Kab tak bani rahogi sang-dil -- kuch tow taras khao -- thoda sa tow karo mujh par raham

Dekho jhulas rahi hai mayri ruh -- jal raha hai mayra wajood -- haath thaam lo mayra -- jata lo thoda sa tow apna-pan.

Zakhm mun-da-mil kar dow mayray -- dil pay haath rakh dow mayray -- apna na sako agar mujeh bhari mehfil mein -- tow koi baat nahi -- bas tasleem kar lo tan-hai mein apnay mann hi mann

Mein aisa na tha -- mein tow tha bada na-laayekh aur jaahil -- yeh tow tumharay ishq nay bana diya mujeh kuch hadd tak khabil -- ban gaya ek kavi -- ek laykhak -- jaisay Khumar Barabankvi aur Munshi Premchand.

Tuesday, July 2, 2013

Character-building...

The real test of a man's character / mettle is when he's under duress.